AAYA NA HOGA IS TARHA RANGO SHABAB RAIT PAR

*Aaya Na Hoga Is Tarha, Rang O Shabab Rait Par*
*Gulshane Fatima سKe The. Sare Gulaab Rait Par.*

*Jaan e Batool سKe Siwa, Koi Nahin Khila Saka*
*Qatra E Aab Ke Bagheir, Itne Ghulaab Rait Par.*

*Ishq Main Kiya Lutaiye, Ishq Mein Kiya Bachaiye*
*Aale Nabi ﷺNe Likh Diya. Sara Nisab Rait Par.*

*Jitne Sawal Ishq Ne, Aal E Rasool ﷺSe Kiye*
*Eik Se Badhkar Eik Ne Diya, Sare Jawab Reit Par.*

*Tarse Hussain عAab Ko,Me Jo Kahu To Be Adab*
*Lam Se Labe Hussain عKo, Tarsa Hai Aab Rait Par.*

*Lazzate So Jise Bilal , Sokhe Shahadate Hussainع*
*Jis Ne Liya Yuhi Liya Apna Khitab Rait Par*

*Aale Nabi ﷺKa Kaam Tha, Aale NabiﷺHi Kar Gaye*
*Koi Na Likh Saka Adeeb Aisi Kitaab Rait Par.*

*𝐘𝐀 𝐇𝐔𝐒𝐒𝐀𝐈𝐍 𝐀.𝐒 𝐘𝐀 𝐇𝐔𝐒𝐒𝐀𝐈𝐍 𝐀.𝐒*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

आला हज़रत के इश्किया कलाम

उरसे मुफतिऐ आज़म

BAZM E SAADAT ME KAHA GAYA KALAAM