SHIRK THA JAB NAAZ

👑❤👑❤👑❤👑❤👑
*🌹101 URS E Imam E Ishq O Muhabbat, Mujadid E Deen O Millat, Rehbar E Shariat, Imam E Ahle Sunnat Aala Hazrat Ash Shah Imam Mufti Ahmad Raza Khan Khan Alaihi Rehman Aalam E Islam Ke Tamam Muhibaane Aala Hazrat Ko Bahut Bahut Mubarak Ho🌹*
👑❤👑❤👑❤👑❤👑

_Shirk Tha Jab Naaz karna Ahmade Mukhtar Par,_

_Nukta Chin The Log Jab ilme Sayyade Abrar Par,_

_Har Wali Har Gaus Ko Be Dasto Paa Samjha Gaya,_

_Ya RasoolALLAH Kehne Par Tha Fatwa Shirk Ka,_

_Kufr Par Ek Din Masheeyat Ko Jalal Aa Hi Gaya,_

_Mere Aaqa Ki Muhabbat Ka Sawal Aa Hi Gaya,_

_Suratien Taskeen Ki Nikli Dile Seemav Se,_

_Ek Kiran Futi Achanak Charkh Pe Mehtab Se,_

_Us Kiran Ko Ahle Deen Ahmed Raza Kehne Lage,_

_Ummate Khatmo Rasool Ka Paswan Kehne Lage,_

_Us Kiran Ne Raahe Imaan Ko Munawwar Kar Diya,_

_Phool To Hai Phool, Khaaro Ko DileTar Kar Diya,_

_Qaum K Imaano Gurbat K Nigehbaan Zindabad,_

_Zindabad Ae Muftiye Ahmed RazaKhan Zindabad,_

_Abre Rahmat Tere Markaz Par Ko Har Baari Kare,_

_Hashr Tak Shaane Karimi Naaz Bar Dari Kare,_

_Aaj Bhi Baaki Hai Shaane Rahbari Teri,_

_Khuda Ki Rehmate Ho Ae Ameere Kaarwan Tujh Par,_

*💚Daal Di Qalb Me Azmat E Mustafa Sayyadi Aala Hazrat Pe Lakho’n Salam💚*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

आला हज़रत के इश्किया कलाम

उरसे मुफतिऐ आज़म

BAZM E SAADAT ME KAHA GAYA KALAAM