DARBARE WARSI

Ay Dill Samhal ke Dar hai ye Darbare Warsi,
Dekho ke hai wo Saamne Sarkare Warsi.

Waris piya ke Saan me Dill ne ye kiya kaha,
Baag-E-Iram hai ya ke hai Gulzare Warsi.

Waris Khoda ka Naam hai Waris Piya ka vi,
Muskil hai ke Samjhe koyi Asrar-E-Warsi.

Bin Mange hi Sahil ko Nawaja hai aapne,
Ham se jara puche koyi Atwar-E-Warsi.

Haque ek najar uathaya to Haq se mila diya,
Atwar-E-Warsi hai ye Kirdar-E-Warsi.

Bichre Huye ko Haq se Milaya hai aapne,
Kitna hai Haque Baland ye Afkar-E-Warsi.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

आला हज़रत के इश्किया कलाम

उरसे मुफतिऐ आज़म

BAZM E SAADAT ME KAHA GAYA KALAAM